Wisdom

FILTERS:
Content Type
Search
“

“Khud se baatein karke cheezon par vichar karne se sahi galat samjh ata hai, insan ka kirdaar mazbut banta hai”

“

“Kabhi kabhi sahi cheezon ko bhi hum galat samjhte hain kyunke samaaj ne unko galat maanliya hai. Sahi aur galat ka faisla kabhi bhi samaaj ke hisab se nahi hota”

“

“Kabhi kabhi sirf yeh yakeen hi kafi hota hai k meri gaari Eshwar ke siwa koi nahi chala sakta aur wo behtareen yojana (planning) rachne wale hai”

“

“Maas-machi (non-veg) na sirf humare karmon ki kitaab ko prabhavit karta hai balke hamare vicharon par bhi gehra asar chorta hai”

“

“Waqt guzarta jaraha hai aur hum wahin ke wahin khare hain. Jeevan mein badlav laye, khushiyan bikhere is se pehle boht der hojaye”

“

“Insan ke pass sabse bara hathiyar 10 ungliyon se jore hue haath hain. Samne wala kitna hi krodhit, takatwar kyu na ho jab nimerta se hath jorenge tou kya hi kar payega wo”

“

“Shewa hum nahi karenge tou koi aur karlega. Hum rehjayenge par shewa nahi rahegi”

“

“Jaise hum apne mata pita ki khushi ka khayal karte hai, wesi soch apne SatGuru ke liye rakhenge tab asal prem ki shuruwaat hogi”

“

“Agar sansaari jeevan mein sangat achi nahi hogi tou mann bhi saaf nahi hoga, mann saaf nahi hoga tou mandir jakar bhi dhyan nahi lagega aur na hi jeevan mein badlav ayega phr”

“

“Shewa aur Simran mein koi antar nahi, dono men hum apna bhaag banate hain – jismein mann lage insan wo kare bas kisi tarah khud ko achi raah par lagaye”

No articles have been published in this section yet.

PNFPB Install PWA using share icon

For IOS and IPAD browsers, Install PWA using add to home screen in ios safari browser or add to dock option in macos safari browser