“Jis tarah phool ki khushbu, suraj ki kirno ki koi seema nahi ussi tarah SatGuru k pyar va prem ka ant nahi”
“Jaise hum apne Guru pai naaz karte hai aur dusro ko batate hai ki yeh humare Guru hai waise hi aisi rehani rakho ki Guru hum par naaz kare”
“Gyaan pustak padhne ya vachan sun’ne se nahi aata balki unhe apne jeevan mein amal karne se aata hai”
“SatGuru ke samne Sajda karna matlab sar jhukana nahi balki apne aap ko unke hawale karna hai”
“Mann hamesha SatGuru k charno-kamlo ki preet mein hona chahiye na ki duniya ke moh-maya mein”
Tipno – August 2025
Giyaras: 5 AugSatya Narayan: 9 AugRaksha Bandhan: 9 AugTeejiri: 12 AugGanesh Chauth: 12 AugThadri: 15 AugKrishna janamashtami: 16 AugGiyaras: 19 AugUmaas: 23 AugLaal Sain jo Chaliyo Sahib – Samapati: 24 AugChand: 24 AugGanesh Chaturthi: 27 AugSao Aachar: 31 AugMahalakshmi Sagra: 31 Aug
“SatGuru ki sangati ka hona bhi swarg jitna sukh deta hai”
“Jab hamare mukh se Mein Mein khatam hokar Tu Hi Tu kehna shuru hota hai tabhi se Malik se Prem hona bhi shuru hota hai”
Sandesh
“Dukh humare apne hi bure karmon ka phal hai isliye har dukh mein yeh bhi vichar hona chahiye ke hamare karam kat rahe hai “
“Hamesha apne SatGuru ko rijhane aur unko raazi karne mein dhyan lagaye. Guru razi to sab razi hojayege”