“Hamari ichchhaon ki koi seema (had) nahi per hamare jeevan ki seema hai, yeh bhool bethenge toh chinta hi rahegi”

Jahan Krishna hain, wahan prem hai; aur jahan prem hai, wahi Bhagwan hai. Sari Sangat khe Krishna Janamashtami je lakh lakh wadhayun!

“Rozee roti Maalik dete hai, koi kitne bhi jatan kyun na kare aapse aapke bhagya ka likha koi nahi chheen sakta”

“Jo apne andar ki awaz se nahi jag saka wo kisi aur ke kehne per kabhi nahi jaag sakta”

“Jab samjh aaye ki jo kar rahe hai vo galat hai to wahi rok dena chahiye nahi to aage barte barte sab kho bethenge”

“Faqeeri ka matlab kapron ki saadgi nahi par faqeeri ka asal matlab hai Eshwar ki raza mein raazi rehna”

Ek dhaage mein bandhe bhai behen ke pyar ke sath sath, Raksha Bandhan har bhai ko apni behen ki or farz yaad dilata hai. Aap sabhi ko Samadha Ashram ki aur se hardik shubhkamnayen.

“Malik ko saadgi wale vyakti jyada pasand hai, reheni aur soch mein saadgi rakhoge tou mann bhi shant aur Guru bhi raazi”

“Iccha aur lalach na kabhi kisi ki puri hui hai na ho sakti hai, jitni humari iccha hogi utne hi dukh”

“Peeth peeche wohi bolte hai jo peeche hote hai, aage badhne k liye zaruri hai kisi ki ninda na karen”