“Jab tak aap apni samasya ya kathinai ki waja dusro ko mante hai, tab tak aap apni kathinaiyo ko mita nahi sakte”
“Karam aise kijiye jisse Eshwar prasann ho krodhit nahi”
“SatGuru mann ki arziyan jaante hain, dikhava dekhte zarur hain par vaastav mein unke aage uski koi qadar nahi hoti”
“Jeevan mein sara khel vicharo ka hai. Vichar aache rakhiye sab acha hoga”
“Ashant ko sukh kaise mil sakta hai, sukhi rehne k liye shanti bohat zaruri hai”
“Jahan sangat mein prem pyar ekta hoti hai, wahan SatGuru ka prakash swayam hota hai”
“Do ghari zara theher kar apne ird gird cheezon ko mehsus karo, socho, dhyan lagao taake jo horaha hai use samjh sako”
“Jeevan mein jesa sukoon SatGuru dar par hai wesa sukoon sansar k kisi kone mein nahi hai”
“Guse mein sahi insan bhi galat lagta hai par jab mann shant hota hai tou galat insan ki bhi majburi samjh ati hai – guse mein ayi hui har soch ko rad karden”
“Bhagwan k bina ekant nahi seh sakte hum, ekant sabse badi saza hai aur Bhagwan s chitt jura hai tou Ekant sabse bara anand hai”