“Yeh jeevan ek dor hai jiska maksad ruhani raha par chalna hai aur uske liye humein SatGuru ki sharan lena zaruri hai”
“Aap jitna dikhawe se dur hote jayenge, waise hi apke andar satya ko samajhne ka hunar aajayega”
“Duniya ko bhale raazi karo na karo par apne SatGuru ko raazi rakho kyuki vo raazi tou kaal bhi kuch nahi kar sakta”
Deep jagmagate rahe, sab ke Ghar jhilmilate rahe, sath ho sab aapne, sab yuhi muskurate rahe Samadha Ashram ki taraf se Deepavali ki hardik shubhkamnaye aur Ashirwad
“Jab tak hum apne SatGuru ko Malik ke roop mein nahi dekhenge tab tak SatGuru bhi apna roop aur leela nahi dikhayege”
Ameeri sirf tijori mein bhari sansari daulat se nahi par dilon mein bhare prem ki bhi ho, ye dua hai aaj k iss sunhere avsar par. Maa Laxmi ki kripa aap par aur aapke pariwar par sadev bani rahe.
“Agar hum apna khayal nahi rakhenge tou dusra kese hamara khayal rakh sakta hai?”
Deepawali Mahotsav – Samadha Ashram, Shikarpur (2025)

Param Pujya SatGuru Baba Narayan Bhajan Saheb Ji ke divya margdarshan mein,Deepawali ka shubh avsar 21 October 2025 ko Samadha Ashram, Shikarpur mein Sangat ke saath bade dhoom-dhaam aur pavitra bhavna se manaya jayega. Sarv Sangat ko aamantran hai ki is pavitra avsar par upasthit hokarSatGuru ke charnon mein bhakti, prem aur seva ka labh […]
Pooj Samadha Ashram Deeply Condoles the Demise of Sain Chandoo Ram

Param Pujniya Sain ChandruRam Saheb Ji ka Pujya Samadha Ashram, Shikarpur, SatGuru Baba Shiv Bhajan Saheb Ji aur SatGuru Baba Narayan Bhajan Saheb Ji se unka purana aur pavitra sambandh raha hai. SatGuru unhe apne charnon mein niwas den. Sain ChandruRam Saheb Ji hamesha hum Sangat ke dilon mein baste rahenge aur unki pyaari yaad […]
“Sant jagat mein aate hain baray kaam karne ko, mita kar khauf marne ka jeevan amar banana sikhate hain”