“Apna mann dusron k prati saaf rakhen, ismein dusre ki bhalai tou hai hi hai par khud bhi ashanti se door rahenge”
“Guru-dar se door hona hi ek shishya keliye sabse bari dur-bhagya ki baat hai, kabhi esa ho tou Eshwar se prathna kare k khud se dur kabhi na hone de”
“Zarurat se zyada har cheez hanikarak hai – chahe wo sona ho, khana ho, kuch bhi ho”
“Agar aap kisi ki madad karenge tou bhagwan aapki madad karenge”
Tipno – November 2025 Giyaras: 1 Nov Beekham ja diya – starts: 1 Nov Tulsi Vivah: 2 Nov Beekhan ja diya – ends: 5 Nov Guru Nanak Jayanti: 5 Nov Satya Narayan: 5 Nov Ganesh Chauth: 8 Nov Giyaras: 15 Nov Umaas: 20 Nov Chand: 22 Nov Sao Aachar: 23 Nov Samadha Ashram, Shikarpur
“Sansar mein sabse shreshth sambandh bhagwan ke sath hi hai jisse kabhi dukh nahi milta”
“Jis tarah Suraj ki ek kiran andhere mein roshni phela deti hai usi tarah SatGuru ki ek Meher nazar jevan safal bana deti hai”
“Kismat ki lakeeren chahe badle na badle par waqt zarur badlta hai, Dheeraj ke sath vishwas rakhen, sab acha hi hoga”
“Santo ka ek ek vachan hamari zindagi ko parr laga sakta hai isliye satsang sunkar ansuna karke ajane s kuch hasil nahi hoga”
“Malik ki vani mein dhyan juda rahe tou rah mein aane wale bhayankar kante bhi aapka kuch nahi bigad sakte”