“Dusron ke sath ki gai bhalai kabhi zaya nahi jati hamesha kisi na kisi roop mein hamare pas wapas ati hai – bas bhavna ka niswarth hona zaruri hai”

“Khud ko SatGuru ka pyara kehlana tou boht asaan hai par ban kar dikhana boht mushkil”

“Kadar karna seekh lijiye, na zindagi wapas aati hai na zindagi mein aaye hue log”

“Har cheez apne samaye ke hisab se hoti hai, hamare chinta karne se na wo jaldi hogi na der se tou chinta ki jaga prathana kyu na karen?”

“Har koi sath chor deta hai bus SatGuru hi hai jo aik bar haath ko tham len tou akhiri saans tak ang sang saahi rehte hai”

“Aksar apni kismat ko bure karam aur bure rawaiye se hum khud laat marte hain”

“Satsang mein har karya bhakti mein shumar hota hai, chahe woh nachna ho, taali bajana ho ya dhyan jorna bus niyat humari SatGuru ke prem ki ho”

Jesa sang hoga wesa dhang hoga aur phir wesa hi jeevan – sheva, satsung, simran mein dhyan lagayenge tou zindagi sanwaregi aur maya se khud ko jorenge tou maya mein hi uljhe rehjayenge”

“Jaise ek chingari puri aag lagane ka kaam karti hai wese hi choti choti galat fehmiyon se rishton mein darar aur nafrat paida hoti hai”

Guru Nanak Jayanti k is pavitra avsar par, Khushiyaan aur sukoon ho har dil ke andar Sari Sangat khe Guru Nanak Jayanti jyun lakh lakh wadhayun!